Followers

search here

Custom Search

Cute SMS in Hindi

Dard ko na dekhiye dard se dard ko bhi dard hota hota,
dard ko bhi zarurat hai pyar ki aakhir ,
dard hi to humdard hota hai.
`
Sham hote hi jane kyoon khud ko..
Be iradah talash karte hain..
Jo tereraste se mil jae ..
Aesa rasta talash karte hain-
`
Chal mere sath kabhi to kisi virane mein..
Mein tujhe shaihr se hat kar dehko..
Tujh ko zid hain meri binayi rahe na rahe..
Tere chchrae ki naqabeen to ulat kar dehkoon-
`
Jane kya ho gaya hain rastoon ko..
Ghar se nikale to ghar nahi melta..
Hum is hi qafle mein hain shayad..
Jis ko apna safir nahi milta-
`
Kis ko kya jo qadamoon par jabin bandagi rahk di..
Humari cheez thi hum ne jahn chahi wahi rakh di..
Jo dil manga to who bole ke thairao yad karne do..
Zara si cheez thi hum ne khuda jane kahn rakh di-

Hindi Love SMS

Mohabbat hum tumse itna kare, jitna hai dum usse zyada kare
vaise to janmo-janam se, janmo-janam tak hum aapke hain
par ek yahi janam hai jiske raatoi ka jagran hum jaante hain
haq to hai, kitnu acha ho gar narazagi mein waqt barbaad na kare
idhar udhar ki nok-jhok, thodi bahut rok-tok, bhool-bhal kar pyar kare…
`
Mohabbat ko shabdon mein bataa nahin saktey
Teri yaad mein hum taaz banaa nahin saktey
Such yahi hai ki hammey dil ne tarpaaya hai
tutatey sapnon ko hum sajaa nahin saktey…
`
Kitna gehra hai pyar mera
har chehre mein dekhoo chehra tera…
`
Mohabbat ki taakat ko aazama reha hoon
haal-e-dil sab se chhupa reha hoon…
`
Mohabbat ki duniya mein
bin baadal barsaat hoti hai
jubaa khaamosh rehti hai
nigaaho se baat hoti hai…
`

Short Hindi SMS

Yeh Kaliya Bhi Khil Uththi,
Baharon Ne Aane Main Der Kardi.
Aaj Woh Bhi Hamare Saath Hote,
Humne Izhar Karne Main Der Kardi.

Itna Satana Acha Nahin Hota,
Maan Jao Ke Intzaar Acha Nahin Hota,
Woh Phool Hi Tho The jinko Hum Liye Khade Hai.
Ab Tho Woh Bhi Murja Se Gaye Hai,
Aapke Intzaar Main Woh Bhikar Se Gaye Hai.
Phool Toh Phir Bhi Khil Jayenge,
Humara Kya Hoga Jo Aapke,
Intzaar Main Khade Hain.

Ae Baarish Tu Itna Mat Baras,
Ke Woh Aa Na Sake.
Aur Aaye Toh Itna Baras Ki,
Woh Wapas Jaa Na Sake.
Khusboo ki poshak pehn kar
kaun gali mein aya hai ,
kaisa pehgham sath laya hai,
khidaki khaul kar bahair dekho
Mausam mere dil ki batein tum sey kehney aya hai

Khusboo ki poshak pehn kar
kaun gali mein aya hai ,
kaisa pehgham sath laya hai,
khidaki khaul kar bahair dekho
Mausam mere dil ki batein tum sey kehney aya hai

Liye Kinara Ho…
Meri Dil Ki Har Ek Dhadkan,
Tere Dil Ne Churaali hai,
Kiya Hai Humne Toh Izhaar,
Ke Ab Baari Tumhari Hai,
Jo Tum Keh Do Yeh Bas Ek Baar,
Ke Meri Dhadkan Tumhari Hai,
Dikha Denge Mohabbat,
Apni Duniya Se Nirali Hai.

Chaho Na Chaho Tum Humhe Dil Se,
Mohabbat Karo Na Karo Tum Humhe Dil Se,
Par E Dil Ki Dhadkan,
Nafrat Na Karo Tum Humhe Dil Se.

Jab Aati Hai Yaad Tumhari,
Tab Main Gun Gunatha Hoon.

Kahin Aansu Na Aa Jaaye,
Isliye Muskuraata Hoon…

Cute SMS in Hindi

Aapki hasi kabhi kam na ho,
aapki aankh aasuonse kabhi nam na ho,
aapko mile zindagi ki har khushi,
bhale us khushi mein hum ho no ho.
`
Do kadam toh sab sath chal lete hai,
par zindagi bhar ka sath koi nahi nibhata,
agar ro kar bhulai jati yaadein,
toh haskar koi gam na chupata.
`
Hum woh nahi jo tujhe gum mein chod denge,
hum woh nahi jo tujse naata tod denge,
hum toh tere woh dost hain jo,
agar teri saanse bandh ho to apni sanse jod denge.
`
Waqt mile toh hame yaad kar lena,
pal pal na sahi per din mein ek bar yaad kar lena,
dost honge aapke hazaro lekin,
hum ek hai itna yaad kar lena.

My Collection of Shayari SMS

Our Relationship
Haaton mein leeye paemana, jaam dhoonda karta hoon.
Tere sang gujarne ko, ek saam dhoonda karta hoon.

Duniya wale humare rishtey ko, yu hee badnaam karte hain.
Ke main eis rishtey ko, dene ek naam dhoonda karta hoon.

Teri khwaabon mein, goojartei hain raaten.
Teri yaadoin mein, kattei hain shaam.

Tere-mere baare, log karte hain baatein.
Aise-jaise, yahan charcha ho koi aam…

Commitment!
kabhi kisi se pyaar mat karna,
ho jaaye to inkaar mat karna!
nibha sako to chalna uski raah par,
varna kisi ki zindagi barbaad mat karna

Road to Destination
“Chaha Tha Unhe Hale Dil Sunana,
Chaha Tha Unhe Junoone Mohhabatt Dikhana,
Nasme Laye The Hum Dil Kured Kured Kar,
Per Alfaaz Bhi Chale Gaye Unhe Dekh Kar”

Lost Lover
Aasmaan aaj phir se roya hai,
Naakaam Aashiqon ke haar mein ek aur moti piroya hai,
Koi to bataaye kahan mera mehboob khoya hai,
mohabbat ki kabr mein mera yeh pyaar soya hai.

Mohabbat ke naam se darte thhey
Dil ki dhadkan dhadka gaya koi
Hum anjaani raahon pe chal rahe thhey
Achaanak hi manzil dikha gaya koi

Mere saath tum ho ya meri parchhaai hai
Na jaane kis mukaam pe mohabbat humein le aayi hai
Bheed mein hoon phir bhi kyun tanhai chhai

Pyaar Ka Izhaar..
Mera dil dhadakta hai sirf tere liye,
mera dil tadapta hai sirf tere liye,
naa jane mein kyun darta hoon aapse,
apne pyaar ka izhar karne ke liye.

Aapke shaher ka mausam suhana lage,
Aapki ek shaam chura lun agar bura naa lage,
Aap chahe to bhula de humko,
Par aapko bhulane mein shayad hame zamana lage….

Pooch Lena…

Tanha Ho Kabhi To Mujhe Dhoondh Lena
Is Duniya Se Nahi, Apne Dil Se Pooch Lena
Aapke AasPaas Hi Kahin Rehta Hain Hum
Yaadon Se Nahin To Saath Guzaare Lamhon Se Pooch Lena!

My Best SMS Shayaris…

1..Itna bhi na rootho yar, k ye mera dil bhi tut jaye,
ham itne bedard nahi k, aapko dard deke kush ho jaye.

2.. Wazood na ho to hasti kis kam ki, maza na ho to masti kis kam ki,
yad aapki aaye aur ham sms na kare, to fir ye dosti kis kam ki..

3.. Har phul khushbudar nahi hota, har pathar chamakdar nahi hota,
dosti sochkar karna dost, kyok har dost ham jaisa dildar nahi hota..

4.. Badi muddat se chaha hai tujhe, badi duaon se paya hai tujhe, tujhe bhulane
ki sochu bhi to kaise, kismat ki lakiro se churaya hai tujhe..

5.. Khuda se thoda raham kharid lu, tere zakhmo ka marham kharid lu, agar bik
jaye meri khushiya kahi to teri zindgi k sare gam kharid lu..