Followers

search here

Custom Search

Some Shayriya & SMS (reply me if u wanna more)

Dosti karo collegewali se,
Pyar karo officewali se,
Program karo padoswali se.
Ankh ladho sali se,
Love karo dilwali se,
Aur mar khao gharwali se.

Exams ke 4 din pehele syllabus dekha to yaad aaya

KUCH TO HUA HAI KUCH HO GAYA HAI

Exams ke din paper dekh kar yaad aayaa

SAB KUCH ALAG HAI SAB KUCH NAYA HAI

Apni surat kabhi to didar de
Tadap raha hu ab aur na intazar de
Apni awaaz nahi sunani to mat suna
Kam se kam ek missed call hee mar de

Dekehe tujeh to rooh kush ho gayi,
Ek kami thi jo puri ho gayi,
Pagal hain vo log jo kehte hain ki,
Chimpanzee ki aakhri nasal khatam ho gayi ?????????

Kisi ki yaad sataye to kya kare

Kisi se milne ko dil agar chahe to kya kare.

Log kehte hain k sapno me hoti hai mulaqat

Lekin neend hi na aye to kya kare.

****

Sukh unhe milte hain

jo dukh sehte hain

Aansu un k liye behte hain

jo yaadon me rehte hain.

Aur SMS unhe bheje jate hain

jo dil me rehte hain.

****

Andhere me rasta banana mushkil hota hai

tufan me deepak jalana mushkil hota hai.

Pyar kisi se bhi kar lena mushkil nhi,

Ise aakhri saans tak nibhana mushkil hota hai.

****

dost hazar nhi sirf ek chahiye

dukh such me de sath wo yaar chahiye.

Hum kisi ko bhulate nhi

Lekin jo hame rakhe yaad

Aisa yaar chahiye.

****

Khushbu teri dosti ki mujhko mehka jati hai,

teri har baat mujhko behka jati hai.

Saans to bahut der leti hai ane jane me,

Har saans se pehle teri yaad a jati hai.

****

Life is funny n twisted.

Sumtimes u laugh,sumtimes u cry.

But as long as u n me exist,

I’ll always b on ur face as a smile

Rather than a tear in ur eyes.

****

Mil jaaye koi naya to hame nab hula dean

koi rulaye tumhe to hame yaad kar lena.

Dost hain hum hardum tumhare,

Khushi na sahi,gham hi baant lena.

****

Ek aada aapki Dil churane ki…
Ek adaa aapki Dil mein bas jaane ki…
Ek chehra aapka Chand sa…
Ek zid hamari Chand paane ki… ..

Ashiq ankhon ki baat samajh lete hai,
woh khwabo me aayen toh mulakat samajh lete hai,
rota hai aasman apni zamin ke liye,
log pagal hai usse barsat samajh lete hain

Usko milne ka mann bahut kar raha hai…
Mann ko samjhaya toh Dil tadap raha hai…
Dil ko bataya toh ankhe roh padi…
Unhe chup karaya toh SAANSE bol padi…. “I MISS U”… …

Dete hai kyu yeh Dard bas hami ko,
kya Samjhenge woh in Aankho ki nami ko,
lakho Deewane ho jis Chand ke,
woh kya Mehsus karega Ek Tare ki Kami ko… …

Nakaam si koshish kiya karte hain,
Hum hain ki unse pyar kiya karte hain,
Khuda ne takdir me ek tuta tara nahi likha,
Aur hum hain ki chaand ki aarzu kiya karte hain …

Tera Rishta is tarah nibhayenge,
Tum roz khafa hona hum roz manayenge,
Par maan jaana manane se,
Warna hum yeh bheegi palke le ke kaha jayenge…

Pal bhar mein tut jaye woh Kasam nahi,
Apko bhul jaye woh Hum nahi,
Tum hume bhul jao is baat me dum nahi,
kyonki Tum hume bhul jao itne bhi bure hum nahi…

laut jati hai lehre jaise kinara dekh kar,
waise hi laut jata hai zamana mera gum dekh kar,
tum kandha na dena mere janaze ko….
kahi uth na jau main tumhara sahaara dekhkar….. .

Ek din jab hum duniya se chale jayenge,
mat sochna ke Aapko bhul jayenge,
bas ek bar Asman ki taraf dekhna,
Mere sms aapko sitaro par likhe nazar ayenge… …

Badalon ki darmia aasi sazaish hui,
Mere Ghar mitti ka tha, Mere hi Ghar barish hui,
Uski bhi Zid thi bijiliyan girane ki,
aur Hamari bhi Zid thi wahin ashiyana banane ki…

Jaan kar bhi woh Mujhe jaan na paaye,
Aaj tak woh Mujhe pehchaan na paaye,
Khud hi kar li bewafai humne,
taaki unpar koi ilzaam na aaye…

Khuda ne jab ishq banaya hoga,
To khud bhi zaroor aazmaya hoga
Hum hain kaun aur tum ho kya,
Is ISHQ ne to khuda ko bhi rulaya hoga …

Chehre pe ashko ki lakeer si ban gayi
Jo na chaaha tha vo takdeer si ban gayi
humne to chalaayi thi ret pe ungli
gaur se dekha to unki tasveer si ban gayi …

Zindagi ke liye jina jaruri hai,
Jine ke liye Arman jaruri hai,
Zindagi me chahe kitne bhi ho Gham,
Aapke Chehre par Muskaan jaruri hai…

tumne aakar meri kabar pe,
jarasha mushkura Diya…
bijli kadak ke gir padi,
sara kafan jala Diay….

hum apko kabhi khone nahi denge,
juda hona chaha bhi to hone nahi denge,
chandani raton main ayegi meri yaad,
yaad ke vo pal apko sone nahi denge

Yaadein wo nahin jo Tanhai mein aati hai,
Yaadein wo nahin jo Tanhai mein aati hai,
Yaadein to woh hai jo Bheed mein bhi Tanha kar jaati hai

For Shayri Lovers

Is Aas Main Chala Jaaoun Ga Main Ye Jahan Chor Kar
Ke Shayad Mera Marna Hi Kuch Kaam Aaye Ga
Shayad Chali Aaye Tu Us Pal Mere Paas Daur Kar
Jis Pal Tere Paas Meri Maut Ka Paigaam Aaye Ga
*****************************************
sochta hai galib ki ye jahain hai kiske vaaste
imaan, vafa, naki, aur mohabbat ho jisme uske vaaste
jo bhool kar tammam bandisho ko paye nayi manjile
jo bekhauf chale lahro per aur de jaye naye raaste
****************************************
Har Subhah Tu Muskarati Rahe,
Har Shyam tu Gungunati Rahe,
DOST tu Jise se bhi Mile,
Her Milane walo Ko Teri Yaad Aati Rahe..

Some Sms For You…

Pyaar ka to Dushman Zamana hai,
Har Aashiq ke Pyaar ka apna hi fasana hai.
Sab ko pata hai Ansu hi milte hai Pyaar me,
Phir bhi kyun har koi Pyaar mein Deewana hai.
`
Na kabhi yeh chupaya ki pyaar kitna hai..
Na kabhi yeh jataya ki Dard kitna hai..
Bas hamare uss Ek khuda ko malum hai..
Hamari zindagi me aapka Mukam kitna hai..
`
Kabhi-Kabhi aisa bhi hota hai,
Dosti ka asar zara der se hota hai.
Unhe lagta hai Hum kuch nahi Sochte unke bare me,
Par Har baat me Zikr unka hi hota hai……..
`
Tujhe bholkar bhi na bhool payenge hum,
Bas yehi ek wada nibha payenge hum,
Mita denge khud ko bhi jahan se lekin,
Tera naam dil se na mita payenge hum..
`
Muskurate rahe sada aap hazaro k bich,
jaise hasta hai ful baharo k
bch, Roshan rahe chehara aapka sada,
jaise roshan hai chand sitar k bich
`
Pyar kisi se jo karoge ruswai hi milegi…
Wafa kar lo chahe jitni Bewafai hi milegi…
Jitna marzi kisi ko apna bana lo,
Jab ankh khulegi… Tanhai hi milegi !

Pyaar

Pyaar ka bhi apna andaaz hota hai…
Khuli aaankhon mein bhi khwaab hota hai…
Zaroori nahi ghum mein hi aanso bahein…
muskurati aankhon mein bhi sailaab hota hai…

Pyaar Ho Gaya…

Mujhko to usse pyaar ho gaya
jo nahi hona tha, vahi haal ho gaya
sara jahan ab hasne laga
dil mein alag sa ehsaas jaga

My Collection of New Hindi SMS

Wafa Me Ab Ye Hunar Ikhtiar Karna Hai,
Woh Sach KaheNaKahe Aetabar Karna Hai.
Yeh TujhKo Jagte Rehne Ka Shauk KabSe Hua,
Mujhe Tau Khair Tera Intezaar Krna Hai.

Khwabo main ayenge SMS ki tarah.
Dil main bas jayenge ring tone ki tarah,
ye yari kabhi kam na hogi balance ki tarah,
sirf tum busy na hona network ki tarah.

Baad Marne K Mere Tum Jo Kahani Likhna
Kaise Barbaad Hui Meri Jawani Likhna.
Yeh Bhi Likhna K Mere Hont Hansi Ko Tarse,
Umer Bhar Ankh Se Behta Raha Pani Likhna.

Dard se dosti ho gayi yaaron,
Zindagi bedard ho gayi yaaron.
Kya hua jo jal gaya aashiyana hamara,
Door tak roshni to ho gayi yaaron….

Dilo ko khridne wale hazar mil jayege,
aap ko daga dene wale bar-bar mil jayege,
milega na aapko hm jesa koi,
milne ko to dost beshumar mil jayege.

Susti bhare jism ko jagate kyo nahi,
uth kar sabke saamne aate kyo nahi,
msg bhi tumhara smell marta hai,
thodi himmat karke NAHATE kyo nahi…
And this one my favourite:

Manzile bhi uski thi,
Rasta bhi uska tha.
Ek main akela tha, Kafila bi uska tha..

Sath-Sath chalne ki soch bi uski thi,
Fir raasta badalne ka faisla bhi uska tha…

Aaj kyo akela hoon, Dil sawal karta hai,
Log to uske the,
Kya KHUDA bhi uska tha….?

*«´¨`·.¸¸.*¤* praveen*¤*.¸¸.·´¨`»*

My Hindi SMS Collection

Sooraj se kaho chamakna chod do,
Sitaaron se kaho timtimana chod do,
Tum milane nahi aa sakte ho to,
Apni yaadon se kaho ki yun satana chod de.
~
Ijaajat aap de, to taarif me aapki kuch ham farmaaye,
Mohabbat aap de, to us dil ke thoda kareeb ham aaye,
Shikaayat agar aap kare,
To dil ki dhadkan kahi tham na jaaye.
~
Jab aasmaan ke sitaare hamko dekhte hai,
Ham kuch anjaani soch me pad jaate hai,
Har lamha ham aisa mahsoos karte hai,
Ki wo kuch kahte hi, chup ho jaate hai,
~
Chand se pyaari chandni,
Chandni se pyari raat,
Raat se pyari jindagi,
Jindagi se pyaare aap…
~
Aapko lagta hai ki hamne aapko bhoola rakha hai,
Aap nahi jaante dil me kahi chupa rakha hai,
Dekh na le in aakhon me aapko koi,
Isaliye palkon ko bhi chupa rakha hai.
~
Dil ki naajuk dhadkano ko,
Mere sanam tumne dhadakna sikha diya,
Jab se mila hai tera pyaar dil ko,
Gam me bhi muskurana sikha diya.
~
Khyalon ko kisi aahat ki aas rahti hai,
Nigaah to kisi soorat ki pyaas rahti hai,
Tere bin kisi cheej ki kami to nahi,
Magar tere bin tabeeyat udaas rahti hai.
~
Aakhon me aansu hai,
Phir bhi labon pe muskaan hai…
Kyonki jeena to har haal mein hai,
To hasne me kya nuksaan hai, sada muskurate raho.
~
Chaho to dil se mujhko mita dena,
Chaho to mujhko bhoola dena, par ye wada karo ki,
Kabhi meri yaad aai to,
Rona mat sirf muskura dena…
~
har baat jubaan kah paati jo agar,
Aankhon ke ishaare kyon hote???
Agar samajhate hamaare ishaare tum,
Palkon pe ye aansu kyon hote???
~
Raat ki tanhaai me unko aawaaj diya karte hai,
Raat me sitaaron se unka jikra kiya karte hai,
Wo aaye ya na aaye hamaare khwaabon me,
Ham to bas unhi ka intajaar kiya karte hai.
~
Palkon ke kinaare jo hamne bhigoye nahi,
Sab sochte hai ham roye nahi,
Sab poochte hai ki khwaabon me kise dekhate ho,
Ham hai ki ek umra se soye hi nahi.
~
Bina dard ke aansu bahaaye nahi jaate,
Bina pyaar ke rishte nibhaaye nahi jaate,
Ae dost ek baat yaad rakhna bina dil diye,
Dil paaye nahi jaate.
~
Subaah ko yaad aayi to miss kiya,
Dophar ko yaad aayi to bahut miss kiya,
Shaam ko yaad aayi to dil uchal gaya aur
Jab jaan par ban aayi to SMS kiya.
~
Missed call to ek bahana hai,
Irada to aapka ek lamha churana hai,
Aap chaahe hamse baat karo ya na karo,
Aapki yaadon me hamaara aana jaana hai…
~
Jara palat kar to dekh lete,
Ham wahi khade the,
Pal do pal to aap muskura lete,
To un palon me ham apni saari jindagi jee lete.
~
Aaj arse baad jab suni uski aawaaj,
To laga ki mere bahut paas hai wo,
Ho gayi nam ye aakhen jab hosh aaya aur paaya ki
Kabhi na poori hone waali aas hai wo.
~
Mere chehre ki hasi ho tum,
Mere dil ki har khushi ho tum,
Mere hothon ki muskaan tum hi to ho,
Dhadakta hai mera ye dil jiske liye wo meri jaan tum hi to ho.
~
Koshish karta jab sher banane ki kabhi,
To kambakht pyaar yaad aa jata hai
Aur jab koshish karta hu pyaar yaad karne ki
kabhi to na jaane kaise sher ban jata hai…
~
Usko chaha bhi to ikraar karna na aaya,
Kat gayi umra, hame pyaar karna na aaya,
Usne maanga bhi agar kuch to maangi judaai,
Aur ek ham the ki inkaar karna na aaya.
~
Wo mausam wo bahaar bhi usake saamne kam thi,
Uske saath wo waqt wo fiza bhi kam thi,
Par kya kare ai jaalim apne haathon me
Mohabbat ki lakeer hi kam thi.
~
Aankhon ki saja tab tak hai, jab tak deedaar na ho,
Dil ki saja tab tak hai, jab tak yaar na ho,
Yeh jindagi bhi ek saja hai, jab tak kisi se pyaar na ho.
~
Dost dost nahi khuda hota hai,
Mahsoos tab hota hai jab wo juda hota hai,
Bina dost ke jeena saja hota hai,
Aur dost aap jaisa ho to jeewan ek tohfa hota hai.
~
Jab hamne unse poocha,
Sapna kya hota hai,
to unhone kaha, band aakhon me jo apna hota hai,
Khuli aakhon me wo hi sapna hota hai.
~
Jindagi agar phool, to tum khushboo ho…
Jindagi agar khwaab,to tum aarjoo ho….
Jindagi agar jeena, to tum meri jaroorat ho.